"
Chalo aaj fir laut kar kuch door to saath chalein... choot gaye jo waqt ki raet main suhane pal unhe yaad kare...
waqt sitam nahi dhaata wo to nadan hai...
apni hi bhoolon ko chalo aaj fir yaad karen...
chalo aaj fir laut kar kuch door saath chalein....
na tu jalim na main hi gunhgaar...
aaj chalo fir se un tutte sapne k bune taar..
agli subah ki bhoor ka ek bhay bhi hai utsaah bhi...
par tu saath chale to baat bane..
kuch gahre jakhmon ke ghaaw bhare..
chalo aaj fir laut kar kuch door saath chalein....
suraj dhal raha hai andhera bas hone hi ko hai....
raat se pehle bas fir ek baar ek duje ka ji bhar didaar karen...
chalo aaj fir laut kar waqt ki usi raet par kuch door saath chalen.......
mast h bhai.......undoubtlyyy..........n above all....."this is d 1"
ReplyDelete